विश्लेषण: कॉकरोच जनता पार्टी', आक्रोश का डिजिटल व्यंग्य या कोई सोची-समझी साजिश?
G2M 24 may 2026:- “Raat bahut lambi lag rahi hai aaj…
Kyunki aaj mere paas sirf zimmedariyan hain…
ghar nahi…”
“Aaj mujhe apne bachchon ke saath
us ghar se nikal diya gya hai
jo kabhi apna tha…”
“Haath mein kuch kapde the…
aur aankhon mein hazaar sawaal…”
“Mere bachche baar baar pooch rahe the…
‘Papa… hum ab kahaan jayenge?’”
“Kaash unhe bata paata
ki ek baap us waqt kitna toot jaata hai
jab uske paas jawab nahi hote…”
“Maine zindagi mein bahut mushkilein dekhi hain…
par aaj pehli baar
khud ko sach mein bebas mehsoos kiya…”
“Apne hi jab dhakka maar dete hain na…
tab insaan ki awaaz nahi…
andar ki rooh roti hai…”
“Mujhe apne liye darr nahi lagta…
Bas darr is baat ka lagta hai
ki mere bachche takleef mein na aa jaayein…”
“Aaj jeb khaali hai…
par umeed abhi bhi zinda hai…”

Comments
No comments yet.